Chipkali ko kaise bhagaye - Chipkali bhagane ke upay?

Chipkali ko kaise bhagaye

Chipkali ko Kaise bhagaye Dosto Agar aapke ghar me bahut jyada Chipkali ho gai hai aur aap Unse Pareshan Ho Kyunki Kai bar bacche chhipkaliyon Ko Dekh kar Dar Jaate Hai Aur aurato Ka Bhi Yahi hal hota hai aaj is post Me Mai aapko chhipkali bhagane Ka Tarika aur uske upay ke bare me bataunga.

Kya dosto aapko Pata Hai chhipkali Ko Mata Lakshmi ka Swaroop Mana jata hai aur Agar ghar me Chipkali Nahi Hoti is topic ke bare me kabhi aur baat karenge per Aaj aapko me Mai Kuch Aise tarike bataunga Jin triko Se aap apne ghar se Chipkali ko aasani se Bhaga sakte hai.

Aaj Ham is post ki madad se aapko bataenge chhipkali Kaise bhagae Chipkali bhagane Ka Tarika kya hai? Chipkali bhagane ka upay kya hai? Aur last Me Ham Iske bare me thoda bahut aur baat bhi Karenge.

Chipkali ko kaise bhagaye?

Dosto chhipkali ki skin bahut hi normal aur soft Hoti Hai Jab Bhi Is per Koi liquid lagta hai to Chipkali ko isse bahut jyada pareshani Hoti Hai To isi chij ka fayda uthate Hue Ham Chipkali ko kaise bhaga sakte hai Iske bare me janenge.

Kerosene ya Mitti ke Tel se Chipkali ko kaise bhagaye? ( 1 tarika )

Dosto Agar aapke pass kerosene tel jisse Ham Mitti Tel ke naam se bhi Jante Hai Agar aapke pass hai to aap uski madad se Chipkali ko Ghar Se Bhaga sakte hain Agar nahi hai to aap market se isko aasani se khareed sakte hain market mei aapko yah Mil Jata Hai.

Ab aapko kerosene tel ko chhipkali ke upar dalna hai Isko aap alag alag tarike se Dal sakte hai jaise ki aap syringe ka istemal bhi kar sakte hai ji ha dosto Vahi syringe Jise doctor istemal Karte Hai injection ke liye Agar aapke pass syringe nahi Hai To aap Botal ka istemal bhi kar sakte hai Botal ke dhakkan mei Chhed karna hai aur uski madad se Hame tel chhipkali ke upar dalna hai Agar aapane Ek Bar bhi kerosene Tel Chipkali ke upar Dal Diya to aapke ghar me vo Dobara Nahin dikhegi.

Chipkali ko kaise bhagaye? ( 2 Tarika )

Doston Agar aapane kerosene Tel ke madad se chhipkali ko Bhaga Diya Hai To Yad Rakhna chhipkali abhi Bhagi Nahi Hai vah ghar me hi idhar udhar Kahin chup Jaati Hai Dosto ab us chhupi Hui Chipkali ko kaise bhagaye Ham uska upay bataenge.

Lahsun aur py Ke Ras ka ghol bana kar Chipkali ko kaise bhagaye?

Gol banane ke liye aapko 15 se 20 lahsun ka Bij lena hai aur isko pis kar ke ek ghol banana hai ab Ek kapde ki madad se iska Ras nikalna hai IsiTarah Se aapko Ek pyaj ka ras nikalna hai.

Pyaj aur lahsun aapko dono kitchen ke Saman ke sath Mil Jata Hai aapko dono se Ras taiyar kar lena hai ab dono ke Ras Ko Pani ke sath mila kar Ek Botal me rakh le.

Aur fir aapko is ghol ko Apne gharo ke Kone me aur us Jagah per Jahan per aapko Lagta Ho ki chipkali chup sakti hai chhidak dena hai.

Chipkali bhagane ka upay? ( 3 Tarika )

Chipkali bhagane ka upay?

kabhi kabhi ghar me Chipkali Makkhi, machhar kha kar Moti aur Badi Ho Jaati Hai Jo ki bahut jyada daravna lagta hai yah jyadatar aapke gharo ke gate Ke Piche chup rahti hai.

Lal mirch aur kali mirch ki madad se chipkali ko kaise bhagaye?

Dosto mixture machine ke madad se kali mirch aur Lal mirch ka powder Banale aur use Ek glass Pani ke sath mix kar le ab aapko isko Ek Botal Me Jaise mai Upar bataya tha aapko Usi tarike se dakkan Mei Chhed karna hai aur use  Pichkari ki tarah use pure ghar me chhidak de.

Chipkali ko kali mirch aur Lal mirch ki mahak bilkul Pasand Nahi Hai Agar uski Mehak chhipkali ne sungh liya to wo wapas nhi ayega.

Chidakne ke bad Apne Hath ko acche se sabun se Pani Se dho le ho sakta hai ki mirch aapke Hatho Me Lag gaya ho aur aapko bad Me taklif de.

Ande ke chhilke se chhipkali  Kaise bhagaye? ( 4 tarika )

Doston aap Ande to Jarur khate Honge Agar kehte hai to uska chhilka aap vaha per Rakh sakte hai Jaha per chhipkali Jyada aapke ghar me Pareshan Karti Hai Dosto ando ke chhilko se Chipkali ko bilkul Nafrat hai usko uski gand bilkul acchi Nahi lagti agar aap iska istemal Karenge to vah aapke us Jagah per Aana Band Kar Degi Jaha per aap Ande ke chhilka Rakhenge.

Mor Ke Pankh se Chipkali Kaise bhagaye?

Dosto Mor Ka Pankh aasani Se To Nahi Milta Hai Lekin agar aapke pass Mor Ka Pankh hai to aap uski madad se chipkali ko Bhaga sakte hai.

Kyunki dosto Mor Aur chipkali Ka bilkul apas me Nahi banta hai Mor chipkali ko jyadatar Maar dalti hai chipkali Mor se bahut Darta Hai iska fayda aap uthakar Uske Pankh ko chhipkali Jaha per Aati Hai vaha per Rakh De.

Dhyan De dosto agar aap 10 Din Me Mor Ka Pankh Nahi Badalte Hai To ho sakta hai ki chhipkali us Mor Ke Pankh per Soi hui mile.

Kyunki dosto vah chhipkali hai itna murkh bhi nahi hota hai ki usko pata Na Chale ki vah sirf Mor Ka Pankh Hai Mor Nahi.

Conclusion

Doston Aaj Humne aapko batane ki koshish Kiya ki aap Chipkali Se Kaise chutkara Paye sakte hai. Chipkali ko Kaise bhagaye Agar Hamara yah post aapko Achcha Laga Ho to hamare is post Ke Niche aap comment Karke bata sakte hain.

Aur Agar aapko lagta hai ki Hamare post Me Kuchh Kami Hai To Hame us kami ke bare me bhi Jarur bataye aur Agar yah post aapne Yahan Tak pada hai to Aapka bahut bahut Dhanyvad.

Close