OTA (CDS) Se Indian Army Officer Kaise Bante Hai Full Details In Hindi

Indian Army Officer Kaise Bane

CDS exam ka naam aapane Jarur Suna Hoga CDS Yani (Combined Defence Services) examination UPSC yani (Union Public Service Commission) ke dwara Sal Mein Do Bar conduct Kiya jata hai.

Aur is exam Ke zariye Indian Military Academy, officers training academy, Indian Naval Academy, aur Indian Airforce Academy Mein recruitment kiye Jaate Hain.

Isi Tarah CDS, OTA bhi UPSC ke dwara conduct Kiya jane wala exam hai jismein OTA ka matlab (Officers Training Academy) hai. Female candidate Agar Indian Army join karna chahti hai to Keval OTA Ke zariye hi recruitment mil sakta hai.

Isliye is Post mein Ham CDS, OTA exam Ke zariye female candidate ke recruitment se Judi Jankari Lenge To Chali Jante Hain CDS, OTA exam ke bare me.

Introduction

Regular CDS exam Keval male candidate ke liye hota hai jo Indian Army Indian, Navy, Indian Air Force Mein Jaana Chahte Hai. Ye Service Long term service Hoti Hai Jisme Desh Ki Seva ke liye 30 sal ki service milati hai. CDS, OTA male or female candidate ke liye Hota Hai Iske zariye Milne Wali service short Hoti Hai Kyunki ye service Keval 10 se 14 Sal Tak ke liye hoti hai.

Is service period ke bad Agar candidate Aage Bhi is service se jude rahna Chahta Hai to the permanent commission yani long term service ke liye apply karna Hota Hai. Agar candidate long term service ke liye deserving hota hai to uski request accept kar li Jaati Hai.

India Me Kitne OTA Hai?

India mein do OTA Officers Training Academy jo OTA Chennai or OTA Gaya hai. OTA Chennai Short Service Commission ke liye training offer karta hai jabki OTA Gaya permanent commission ke liye officers ko train karta hai.

Female CDA Training Period

Yani female candidates CDS exam ke through sirf OTA Chennai ke liye apply kar sakti hai. OTA ka training period 49 weeks Ka Hota Hai. Jo candidates Indian Army ke liye taiyar kar deta hai ye training period Indian Military Academy ki training period se kam Hota Hai.

OTA Officer Salary

Ek Indian Military Academy ke officer Aur OTA Ke officer ki salary Me Koi difference Nahi Hota.

CDS aur CDS OTA Exam

CDS or CDS OTA exam pattern me difference hota hai CDS exam 3 part Me Hota Hai jabki CDS OTA exam Me two parts Hote Hain Jo written exam aur SSB interview.

Written Exam Me 2 papers hote hai English aur general knowledge in multiple choice ke sawal Aate Hain aur negative marking bhi hoti hai.

SSB interview ke 2 stages Hoti Hai

Pahle stage Me Officers Intelligence Test Hote Hai Yani ke (OIT) Hota Hai. ye Offices Intelligence Test, picture perception and description test Hote Hai jinhe pas karne ke bad hi stage 2 ke liye eligible hua Ja sakta hai.

Dusri stage Me interview Group Testing Officers task (GTO), Psychological test or conference include Hote Hai.

OTA female or male ke liye criteria

Aapke pas Ek recognised University se graduation ki degree honi chahie. Age criteria 19 se 25 Sal Ka Hota Hai. Married status Ki Baat karen to OTA male candidates ka unmarried Hona Zaroori Hota Hai 

Female candidates Joki SSC women non technical course ke liye apply Karti Hai wo ya To unmarried honi chahie ya fir Unka issue less divorce Hua Ho yani unke pas divorce ke documents bhi hone chahie.

Aisi candidates jisne Dobara shaadi nahi ki Ho Agar female candidate widow hai to unhone bhi Dobara shaadi nahi ki Ho.

Candidate Indian citizen Hona chahie Bhutan Nepal ke candidates or Refugee be certain conditions ke base per is exam ke liye eligible hote hai aur Pakistan, Sri Lanka aur East African countries se migrate Hue indian Origin ke Aise log jo India me permanently settle ho gaye ho vah bhi is exam mein appear ho sakte hai.

Applicant's physically fit ho jayegi aur Unki mental health bhi Sahi honi chahie. Aur OTA non technical ke liye apply karne wali female candidates ki minimum height 152 CM honi chahie. Female candidates SC or St candidates ko application fee Nahi pay karni Hoti Hai jabki male candidates ko 200 rupaye application fee pay Karni hoti hai.

OTA Exam kab de sakte hai?

Age criteria ko Dhyan Mein rakhte Hue aap is exam ko Kitni bar de sakte hai. Graduation ki degree ke final year me rahte Hue bhi aap uske liye apply kar sakte hai. Lekin selection ke time aapki graduation complete ho chuki honi chahie.

OTA Promotion 

Training complete karne ke bad gentleman aur lady cadet ko lieutenant ki rank per Short Service Commission Grand Kiya jata hai. ye candidates different ranks per promotion ke liye eligible bhi Hote Hai. Jaise ki 2 sal ki Commission service complete karne ke bad captain ke rank per promotion Milta Hai, 6 sal ki recognable Commission service ke bad Major ke Rank Per Promotion Milta hai aur 13 sal ki recognable Commission service ke bad lieutenant colonel ki ranking milti hai.

CDS OTA ke liye apply karne ke liye aap iske official website upsc.gov.in ya upsconline.nic.in par visit kar sakte hai.

To Dosto CDS OTA ke jariye Indian defence service me apply karne se Judi Jankari ummid hai ki aapko yah Pasand aai Hogi aur aapke liye useful bhi sabit Hui hogi.

Doston Agar aapko lagta hai ki yah post Kisi Ka madad kar sakta hai to uske sath ise share Jarur Kare.

Aur Agar Hamara post aapane Yahan Tak pada hai to Aapka bahut bahut Dhanyvad.

Close