ICICI Bank Business loan ke liye Apply Kaise kare Hindi Me Jane

ICICI Bank Business loan kaise apply kare hindi me jane

Dosto Ham baat karne Ja Rahe hai ICICI Bank ke business loan ke bare me. Aaj ki post Mein Hamesha Jaane Ki ICICI bank se business loan Kaise Le sakte hai. ICICI bank se business loan kitne Samay ke liye mil sakta hai? ICICI Bank business loan per Kitna interest net charge karta hai? ICICI bank se loan kon kon Le sakta hai? ICICI bank se business loan kitne rupee Tak Ka Le sakte hai? 

Iske alava Ham aapko ICICI Bank ke bare me aur bhi kuch Jankari Jarur Dene Ki Koshish Karenge. Aur ham aapko Ye Bhi bataenge ki aap ICICI Bank Mein business loan ke liye apply kaise kar sakte hai.

To Chaliye Jyada Samay na lete Hue Shuru karte hai aur Jante hai ICICI bank ke business loan ke bare me.

ICICI Bank business loan kitne Samay ke liye de sakta hai?

Ya to aap ke loan ke amount per depend karega ki aap ko Kitna Samay Milega loan ko return karne ke liye lekin agar aap Ye Janna Chahte hai Ki kam se kam aur Jyada Se Jyada kitna time mil sakta hai aapko ICICI Bank ke taraf se loan ko return karne ke liye To Ham aapko Bata Dete hai ki aap ko kam se kam 12 mahine Se Lekar 72 mahine Tak ka samay Diya Jata Hai loan Ko return karne ke liye.

ICICI bank se business loan kitna Le sakte hai?

Agar aap Kisi bhi Bank ke bare me Janna Chahte hai Ki Bank aapko Kitna loan De sakta hai to Dosto aap ko ye Unse hi puchna Padega lekin agar aap Ye Janna Chahte hai Ki ICICI bank se aap kitne Tak ka loan Le sakte hai to aapko Ham Ye Bata Dete hai Ki 3 lakh Se Lekar 40 lakh Tak ka business loan aap ICICI bank se le sakte hai Le sakte hai.

ICICI Bank business loan par Kitna interest rate leta hai?

Vaise to Ye aapke loan amount per depend karega Fir Bhi Ham aapko Bata Dete hai Ki ICICI Bank business loan per kam se kam 12% Se Lekar 13% Tak ka interest rate charge karta hai.

ICICI Bank ke business loan ke liye eligibility criteria kya hai?

ICICI Bank ke eligibility criteria business loan ke liye Agar aapko jana hai to ja aapko ICICI Bank ke official website par login hone ke bad hi pata chal payega.

Agar aapko Ye Janna Hai Ki aap ICICI Bank business loan ke liye eligible Hai Ki nahi uske liye aapko ICICI Bank ki official website par login karna hoga Uske bad aap vahan se check kar sakte hai apni eligibility criteria.

ICICI Bank business loan ke liye kon se document Lagte Hai?

ICICI bank se business loan lene ke liye aapke pass Kuchh documents hone bahut jaruri hai Jinka list Humne niche De Diya Hai.

  1. Dully filled in application form by customer.
  2. PAN card.
  3. KYC documents.
  4. Relevant financial documents.
  5. 6 mahine ka Bank account statement.
  6. Business proof.

ICICI bank main business loan ke liye Kaise apply Kare?

ICICI Bank ke business loan Mein apply karne ke liye aapko niche Diye Gaye steps ko follow karna hai uske bad aap ICICI bank se business loan Le sakte hai.

  1. ICICI Bank ke official website per jakar login kar le.
  2. Login karne ke bad aapko business loan apply online kab se Milega aapko use per click karna hai.
  3. fir aap se Kuchh Jaruri Jankari Li Jayegi jo ki aap ko de dena hai. Example: Naam, phone number, aapka turnover etc.
  4. Ab aapka Apne Sare documents upload kar dene Hai.
  5. Uske bad agar aap ICICI Bank ke business loan ke liye eligible hai to aapke bank account me main aapke loan amount ko send kar diya jaega.

Dosto aaj ke is post se Humne aapko batane ki koshish kiya tha ki aap ICICI Bank Mein business loan ke liye apply kaise kar sakte hai Iske alava Humne ICICI Bank ke business loan ke bare me bahut Kuchh Jana Hamen ummid hai ki aapko Ye Jankari acchi lagi Hogi.

Agar aapko sach me Ye Jankari acchi lagi hai to aap Hamen comment kar ke Hamen bata sakte hai Hamen aapki comment Padhne Mein bahut Khushi milati Hai.

Aur Agar apne Hamari Ye post Yean tak padhe hai to Aapka bahut bahut dhanyvad!

Close