How to Become a SEO Expert in Hindi? - SEO Expert Kaise Bane Hindi Me Jane

How to Become a SEO Expert in Hindi SEO Expert Kaise Bane Hindi Me Jane

Aaj online business pure Duniya me fail gaya hai aur ye bhi Sach hai ki koi bhi online business digital marketing Ke Bina Jyada Din in market Main Nahi Rah Sakta jyadatar business digital marketing company ko sirf SEO karne ke liye hire karta hai. 

Kyunki Kisi bhi website ya fir YouTube channel ko Rank karne ke liye ya fir Kisi digital marketing company me kam karne ke liye aapko SEO expert Banna hoga Lekin ye kam Aisa Bhi Nahi Hai Ki Chutki bajate Hi Ho Jaaye lekin aap sachmuch Agar SEO me thodi Jankari rakhte hai To aap ye post Ek Bar pura Jarur padhe.

Aaj Ham aapko ye bataenge ki aap SEO expert Kaise Ban sakte hai matlab Agar aapko SEO expert banna hai to aapko kya kya karna padega Ek Achcha SEO expert banne ke liye Chaliye Shuru karte hai aur sabse pahle Jante hai Ki ye SEO Hota kya hai?

SEO Kya Hota Hai?

Search Engine Optimisation Jaani ke SEO bahut Sare tools aur bahut Sare Jankari jo ki aap ki website ko Google ke search result me sabse upar laane me madad karta hai. Jisse aapke website ya YouTube channel per Google ki taraf se organic traffic Milta Hai isse business Jyada Badne lagta hai. Ab aapane Kiya Kiya Search Engine Optimisation Kya Hota Hai? Ab Ham ye janenge ki search engine Kya Hota Hai?

Search engine Kya Hota Hai?

Aisi website jis ki madad se ham log internet per maujud Jankari ko aasani se Hasil kar sake ya fir aasani se Khoj sake use search engine Kahate hai duniya me bahut Sare Prakar ke search engine maujud Hai jaise ki Google, yeoo, Bing, Gibiru in Sab me Se sabse Jyada popular Google ko mana jata hai aur Dekha Jaaye to Google ke aane ke bad hi SEO ya Search Engine Optimisation Jaisi chijo ka istemal ab Aam ho chuka hai.

Agar aap SEO expert Ban Jaate hai To aap Duniya ke kisi bhi website ya fir YouTube channel ko search engine me sabse upar La sakte hai. Lekin aapko ye bhi Pata Hona chahie ki aap SEO expert Banna chahte hai ya fir Aisi or professional Banna Chahte hai. 

Indonon me Thoda Fark Hota Hai SEO expert ko ye Pata hota hai ki search engine me kisi bhi website ko rank kaise kiya jaaye jabki Hai SEO professional ek aisa SEO expert Hota Hai jo ki SEO ko ek profession Ki Tarah Karta Hai jisme SEO consulting, SEO project base, Aur clients se deal karna Samil hota hai.

Is Antar ko aapane to samajh liya SEO expert aur SEO professional alag alag Hote hai per kya aapko ye pata hai ki Search Engine Kaise kam karta hai? SEO search engine Se Juda hua Hai to ye janna bahut jaruri hai ki search engine kam Kaise karta hai. 

Isko samajhne ke liye aap ye Manle ki Is Duniya me sabse bada library Google ke pass hai aur Google librarian hai Jisne hajaron Lakhon kitabon ko apne pass Rakha Hua Hai Jab aapko Kuchh Jankari chahie hoti hai to aap Google ke pass jakar usse Apne Sawal ke jawab Puchte hai aur Google un kitabon me se sabse Achcha Jankari Dene Wale kitabon Ko dhundta Hai hi aur use sabse upar Dikhata Hai lekin ye Sara chij online Hota Hai isliye ye Sara Kuchh 3 chijo se hokar Gujarti hai. Crawling, Indexing, aur Ranking.

Crawling: ye Google ka ek feature hai Google uski madad se aapki site ke new pages ko dhundta Hai ise log spider aur bot ke naam se Jante hai.

Indexing: Crawling ke bad indexing Hota Hai indexing ke process me content ko jodkar content ko search me Dikhane ke liye taiyar Kiya jata hai.

Ranking: Jab Google per Kuchh Bhi search kiya jata hai to fir Google index kiye hue article me se sabse behtarin article ko Upar rakhne ka koshish karta hai aur ye sab process seconds me Hota Hai.

Ek SEO expert hone ke Naate aapko website ko is tarike se banana Hoga Ki search engine ko Aisa Lage ki aapane Jo post likha hai vah bahut Achcha hai. Aur Agar aapke website per koi bhi Banda to use dusre ki website per jaane ka jarurat na Pade. Agar aap is Baat Ka Dhyan rakhte hai To aap apni website ko top per aasani se le ja sakte hai

Search Engine Kaise kam Karta Hai ye Pata hone ke sath sath aapko ye bhi Pata Hona chahie ki keyword research Kya Hota.

SEO ke tin Factors to ham janenge hi Iske alava a Keyword researching aur link building ke bare me bhejenge Kyunki ye Bhi Ek important topic hai.

Keyword researching

SEO me keywords ka bahut important role Hota Hai keyword research se aapko Aisa specific data Milta Hai jo aapko batata hai ki log kya search kar rahe hai aur kitne log is chij ko search kar rahe hai aur unko data kis format me chahie free keyword research Karke aap apne target market ko samajh sakte hai aur aap ye bhi Pata Laga sakte hai ki vah aapke content, product or services ko Kis Tarah Se search kar rahe hai.

Itna pata chal jaane ke bad aap apne website ke content ko un Tak aaram se pahuncha sakte hai. ye search engine per rank karna ya fir search engine ke through Apne website par organic traffic La sakte hai. Isliye keyword research ko importance Deni padegi iske liye aap keyword research tool ka istemal kar sakte hai lekin aapko inke Sath Sath Apna vision aur observation bhi badhane Hogi Taki aap ek hi information ko bahut se effective keyword ke sath present karna Sikh sake.

Link building

keyword search ke sath link building me ek bahut important process Hota Hai Jinke bare me SEO expert ke pas knowledge honi chahie. Kyunki Google ke according quality content ke alava link bhi ranking factors hai. Jis site ke pass jitne Jyada link hoti hai vah utani hi jyada trusted site kahlate hai jaise ki Wikipedia is par aapko hajaron site ke link mil jaenge aur ye indicate hota hai ki Wikipedia un Sabhi sites per trusted hai. 

Isiliye aapko 1 SEO expert ke Taur per link building main expert Banna hoga Taki aap jis website ka SEO Karen use aap authentic aur trusted banaa sake. Lekin Agar aapko lagta hai ki SEO sirf keywords aur link building tak hi simit hai tu aisa bilkul Nahi Hai SEO isse kai jayada hai SEO ka matlab sirf site per traffic Badana Hai SEO ka matlab visitor ko customer me convert karna bhi hai isiliye aapko SEO ke major types Pata hone chahie Jinke ki bahut Sare type hai jinme se 3 main type hai.

Technical SEO

technical SEO aapke a website ke technical aspect Ko improve karta hai Taki Google search main aapka search ranking improve ho sake technical SEO jaise ki website ki speed ko increase karna,, website me SSL ka use karna, mobile friendly website taiyar karna, XML sitemap create karna aur crawl problem ko fix karna Jaise bahut Sare important task complete karta hai.

On page SEO

On page SEO main individual web pages ko optimise Kiya Jata Hai Taki website ko higher rank per pahunch gaye Ja sake aur search engine per Jyada Se Jyada relevant traffic generate kar sake. ye SEO type page ke content aur HTML source code donon per work karta hai. Is per relevant high quality content publish karna, Page ke headlines ko optimise karna, HTML tags or images Shamil Hote hai. Aapke website per security, authority aur trust established karna bhi on page SEO ka part hai.

Off page SEO

Technical SEO onpage SEO to website per work Karte hai Taki uski ranking Behtar ki Ja sake lekin off page SEO website ke bahar work karta hai Taki aapke website se dusri website se traffic a sake isme dusri website se traffic lena aur social media se promotion karvane Jaisi activities Aati Hai. Jo website se bahar hoti hai lekin Unka purpose Baki dono jaisa hi Hota Hai. 

YouTube search ki baat ki Jaaye to YouTube search bhi Google search Jaisa hi hota hai inme Jyada difference Nahi Hota Hai YouTube search me Aise videos Jyada ranking paate hai Jo ki Jyada Dekha jata hai, Jin ka watch time Jyada Hota Hai, jinhen audience Ne Jyada like Kiya Hota Hai. 

Video Jyada logo Tak pahunch banae iske liye YouTube SEO karna Hota Hai jinmen title, description, tags, thumbnail Jaise bahut Sare important factors Aate hai aur agar aap Kisi channel ko YouTube search per high rank me Lana Chahte hai to aapko insabhi factors ka proper use karna hoga kabhi aap YouTube SEO expert Ban Payenge.

SEM Kya hai?

SEO ke bare me jaan lene ke bad aapko SEM ki bhi knowledge honi chahie jaha SEO traffic free Hota Hai Vahi SEM traffic paid Hota Hai. ye ka marketing Ka Aisa Tarika hai jo ki paid advertisement istemal karta hai aur ye paid advertisement search engine results pages per Dikhai deta hai yani ke SERPs per Dikhai Dete hai. 

Aur iska sabse bada advantage ye Hai Ki SEM advertiser Ko ye opportunity deta hai ki vah apni ads aise motivated customer Ke Samne Rakh sake Jo Unka product kharidne ke liye turant taiyar ho jaaye Is Tarah marketing Karke business karna Aasan ho jata hai SEM Ke zariya mainly do search engine Google or Bing per paid ads lakar kar marketing ki Jaati Hai. Iski knowledge Lene ke bad aapke liye ye samajhna Aasan ho jaega ki aapko SEO ke jariye kaun se best result laane ki jarurat hai.

Conclusion

Ek SEO expert banne ke liye Agla step Aisa SEO training course karna hai jo SEO ki deep knowledge De sake Taki aap SEO me expert ho sake aur apne website aur channel ko grow kar sake aur Chahe to aap aap 1 SEO expert ye SEO consult aap kam kar sake. 

Vaise to aap apne convenience ke according apne liye best course choose kar lenge fir bhi main aapko Bata deta hun ke Google ki taraf se digital marketing ka course bilkul free me aapko Google ke website per mil jaega aapko sirf Google per jakar search karna hai Google digital marketing course aur aap Google ke SEO guide se bhi aap kafi Kuchh Sikh sakte hai Iske alava aapko bahut Sare courses online mil jaenge Jin free aur paid dono ke courses mil jaenge jinmen se aap apne liye best option chun sakte hai. Course karna Koi Jyada Jaruri Nahi Hai Lekin agar aap kam Samay me jyada knowledge Lena chahte hai aur 1 valid certified SEO expert Banna Chahte hai to aap course le sakte hai.

Course karna Ek bahut hi Achcha option hoga aap course Karen ya Fir Na Karen lekin aapko practice ke liye ek channel ya fir Ek website Jarur create karna chahie. Sirf ek SEO training course kar Lene se aap expert Nahi Ban Sakte iske liye aapko practical knowledge ke lagatar practis karne padenge aur or agar aap search karke alag alag information collect Karke Khud Se sikhana Chah Rahe Hai To fir bhi aapko practice karne ke liye 1 platform ki jarurat padegi.

Close