WordPress 5.0 और Gutenberg Editor के बारे में जानते हैं
Kya aap jaante hain ki WordPress 5.0 kya hai aur Gutenberg Editor kya hai? WP ke is naye version mein kya-kya naye changes laaye gaye hain? Simple shabdon mein, WordPress 5.0 WordPress ka ek naya version hai.
Agar aap WordPress ke baare mein nahi jaante hain, toh main bata doon ki yeh WordPress duniya ka ek behtareen CMS (Content Management System) hai, jo Bloggers aur writers ko ek user-friendly interface provide karta hai apne articles likhne ke liye.
Iski madad se aap bina kisi developer ke bahut hi badhiya aur professional-looking website aasani se khud bana sakte hain. Ismein bahut se plugins hote hain jo aap apps ke tarah use kar sakte hain, saath hi themes bhi hoti hain jo aapki site ko ek badhiya look de sakti hain.
Generally, WordPress time-time par apne naye versions ko launch karta rehta hai, jinhe paane ke liye sabhi users bahut hi excited rehte hain. Aur is naye version 5.0 ne sach mein bahut hi halchal macha diya hai apne naye features ke saath. Sabse badi feature jo ismein hai, woh hai naya block-based editor, jise Gutenberg bhi kahte hain.
Ab aap soch rahe honge ki yeh Gutenberg kya hai? Toh iska jawab hai, Gutenberg ek complete redesign aur re-imagination hai WordPress editor ka. Is naye version ke aane se, jo ki hai WordPress 5.0, logon ke content create karne ke default way ko completely change kar diya gaya hai.
Itne major updates kam hi dekhne ko milte hain, lekin kabhi kabhi bade aur popular platforms ko bhi market trend ke saath chalna padta hai, warna woh time door nahi jab koi aur unki jagah le le. Isi raaste mein, Gutenberg editor ek bahut bada change hai.
Aksar logon ko is naye update mein zyada information nahi mili hoti, isliye aaj maine socha ki kyon na aap logon ko bhi WordPress 5.0 aur ismein kya naye features add kiye gaye hain ke baare mein bataun. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hain.
WordPress 5.0: Ek Bahut Bada Update
Agar aap kuch time se WordPress use kar rahe hain, toh aapne dekha hoga ki is platform mein kaafi changes laaye gaye hain time ke saath. Generally, individual updates ke hone se platform mein kai significant shifts dekhne ko milte hain.
Udaharan ke liye, 4.9 ‘Tipton’ update ne users ko allow kiya schedule design changes karne ke liye WordPress Customizer mein, jisse woh later time mein bhi live kar sakte hain, jaise ki post drafts.
WordPress 4.8 mein bhi bahut se widget updates laaye gaye. Udaharan ke liye, pehle agar aapko images chahiye hote the aapke widgets mein, toh aapko manually add karna padta tha. Lekin ab, teen dedicated media widgets hain image, audio, aur video files ke liye.
Ek aur update jo 4.8 mein aaya tha, woh tha ek option apne nearby WordPress events ko check karne ke liye, apne dashboard se hi. Yeh aapke bahut kaam aa sakta hai agar aap apna network aur zyada badhana chahte hain.
Lekin jitne bhi updates ab tak aaye hain, woh ache updates hain, lekin woh game-changing nahi hain. Zyada updates chote-mote hi hote hain, lekin WordPress 5.0 mein itne bade updates ke hone se ek naya mahal ban gaya hai.
WordPress 5.0: Ismein Kya Naya Dekhne Ko Milega?
WordPress 5.0 mein bahut se interesting upgrades laaye gaye hain, jinke baare mein chaliye ab jaante hain.
Platform ki zyada focus ek intuitive site-building experience par: WordPress ne ab apna zyada focus site building par lagaya hai. Iski site building functionality ko kaafi improve kiya gaya hai. Inki core team ka maqsad hai market share ko dusre hosted website builders ki tulna mein hold karna.
WordPress Reset API mein kuch improvements: Yeh WordPress Rest API developers ko madad karta hai zyada feature-rich products create karne ke liye, jisse aapke websites se aasani se data ko send aur pull kiya ja sake. Is update ke hone se developers easily applications create kar sakte hain, jo platform ko ek framework ke tarah use karte hain.
Custom themes ko build karna ab aasaan ban gaya: Agar hum pehle ki baat karein, toh aapko at least ek simple development background ki zarurat hoti thi ek WordPress theme ko build karne ke liye. Lekin ab Gutenberg ke aane se, theme creation bahut hi aasaan aur accessible ban gaya hai, blocks ka use karke.
Page builder plugins thoda relevance kho sakte hain: Bahut se fantastic page-builder tools hain jo aap WordPress mein use kar sakte hain. Gutenberg initially shayad unhe match na kare, lekin later yeh unse bhi better ho sakta hai, long run mein.
Gutenberg Editor Kya Hai?
Gutenberg, WordPress ka default editor hai. WordPress Core version 5.0 mein ise specially develop kiya gaya hai. Iska main aim hai WordPress writing experience ko better banana.
Naye Gutenberg ke launch hone se users ko ek naya editing experience milta hai. Users ko naye editing experience ke saath familiar hona padta hai. WordPress 5.0 mein Block-based editor (Gutenberg) ko pehli baar introduce kiya gaya hai.
Note: Agar aapko Gutenberg editor ka use karne mein problem ho rahi hai aur aap purane editor (classic editor) ko use karna chahte hain, toh aap official Classic Editor plugin install kar sakte hain.
Gutenberg ke baare mein aur jaankari chahiye toh aap Gutenberg handbook introduction ko padh sakte hain.
WordPress 5.0 Update Kaise Kare?
Officially WordPress 5.0 ke release ho jaane ke baad, yeh naya update aapke WordPress admin dashboard mein dikhne lagega. Agar aapne update nahi kiya hai, toh yeh aapko zarur dikh raha hoga. Sabhi chahenge ki woh naye WordPress ko update karein aur naye features ka maza lein. WordPress 5.0 ko update karna bahut aasaan hai.
Iske liye bas aapko Update Icon ko click karna hoga ya phir Dashboard >> Update par click kar sakte hain. Uske baad Update Now button par click karein. Aisa karte hi aapki site update hona shuru ho jayegi.
Note: Jab tak aapki site update ho rahi hoti hai, tab tak yeh maintenance mode mein hoti hai, is samay aapki site thode time ke liye band ho jayegi. Isliye ghabrane ki koi baat nahi hai. Jaise hi update complete hota hai, aapki site phir se normal ho jayegi. Congratulations, ab aap naye version 5.0 ka use kar rahe hain.
Kya Gutenberg Editor Dusre Themes aur Plugins ko Affect Karega?
Naye editing experience ke saath-saath Gutenberg bahut se themes aur plugins mein bhi kaafi changes la raha hai. Aapne shayad dekha hoga ki ab internet par bahut se Gutenberg-friendly themes available hain, jo specially design ki gayi hain editor ke naye features ka advantage lene ke liye.
Gutenberg ki apni default theme hai Twenty Nineteen, jo iske primary focus mein rakhkar banayi gayi hai. Aap apne favorite plugins mein bhi kaafi changes dekh sakte hain, kaise woh WordPress editor ke saath interact karte hain. Alag-alag plugins aur themes ko naye version ke compatible hona padega, warna users unhe chhod kar naye ka use karne lagenge.
Gutenberg Editor Ka Dusra Naam Kya Hai?
Gutenberg Editor ka dusra naam block-based editor hai. Kyunki is editor mein blocks ke roop mein article publish kiya jata hai, isliye ise block-based editor kaha jata hai.
Kya Gutenberg Editor WordPress Ka Default Editor Hai?
Ji haan, WordPress 5.0 mein Gutenberg ko default WordPress editor ke roop mein launch kiya gaya.
Aaj Aapne Kya Seekha
Mujhe umeed hai ki aapko yeh article WordPress 5.0 kya hai zarur pasand aayi hogi. Mera hamesha se yahi koshish rehti hai ki readers ko Gutenberg Editor ke baare mein poori jaankari di jaye, jisse unhe kisi dusre sites ya internet par search karne ki zarurat na pade.
Isse unka time bhi bachega aur ek hi jagah par unhe saari information mil jayegi. Agar aapke man mein is article ko lekar koi doubts hain ya aap chahte hain ki ismein kuch improvement ho, toh neeche comments mein likh sakte hain.
Agar aapko yeh article WordPress 5.0 kya hai pasand aayi ya kuch seekhne ko mila, toh please is post ko social networks jaise ki Facebook, Twitter etc. par share kariye.
Post a Comment