Kahani Likhne ke Niyam Kya Hain | Achhi Kahani Ke Liye Kya Zaroori Hai?

Kahani Likhne ke Niyam Kya Hain | Achhi Kahani Ke Liye Kya Zaroori Hai?

Kahani Likhne ke Niyam Kya Hain?

Purane zamane se lekar aaj tak, dadi-nani ki bahut si kahaniyan bachche aur bade sab sunte hain aur inme bahut maza bhi aata hai. Lekin kya aap jaante hain ki ye kahaniyan kis tarah likhi jaati hain aur kya hai jo inhe sunne me itna accha lagta hai?

Darasal, kahani ko interesting aur mazedar banane ki poori zimmedari writer par hoti hai. Agar writer achhi language aur examples ke sath likhna jaanta hai, to kahani padhne me bahut maza aata hai. To, kya aap bhi kahani likhna chahte hain? Agar haan, to aapko sabse pehle kuch rules jaan lena zaroori hai.

Agar aap kahani likhne ke rules aur zaroori cheezein jaan na chahte hain, to aapko hamara ye article ant tak padhna hoga. Kyunki aaj ke article mein main aapko ek achhi kahani kaise likhe iske baare mein bataunga. Usse pehle 100+ Short Stories in Hindi padh lijiye.

Achhi Kahani Likhne ke Niyam Kya Hain?

Jaisa ki hum jaante hain, har cheez ko likhne ke liye kuch rules hote hain. Isi tarah, kahani likhne ke bhi kuch rules hote hain. Agar aap bina rules follow kiye kahani likh dete hain, to wo kahani interesting aur mazedar nahi banegi.

1. Suitable Title Chune

Agar aap koi bhi kahani likhna chahte hain, to pehla rule hai ek suitable title chune. Ye isliye zaroori hai kyunki zyada log kahani ka title dekh kar hi decide karte hain ki kahani kis baare mein hai. Isliye, pehle suitable title ka choice karein.

2. Sabhi Characters ka Equal Role

Kahani likhne ka doosra rule hai sabhi characters ka equal role present karna. Kahani mein jitne bhi characters hote hain unka apna apna role hona chahiye. Jab unki zaroorat ho tabhi unhe present karein.

3. Kahani ki Shuruaat Interesting aur Attractive Ho

Kahani likhne ka sabse important rule ye hai ki uski shuruaat interesting aur attractive ho. Poore kahani ka effect aapki shuruaati lines par depend karta hai. Agar starting interesting ho, to readers poori kahani padhna chahenge.

4. Zyada se Zyada Kahaniyan Padhein

Kahani likhne ka ek rule ye bhi hai ki aapko zyada se zyada kahaniyan padni chahiye. Jitni zyada kahaniyan padhenge, utna zyada experience hoga. Isse aapko kahani likhne me madad milegi. Aaj kal ke young writers bhi kahaniyan padh kar hi likhna seekh rahe hain.

5. Likhnye ke liye Quiet Place Choose Karein

Ek achhi kahani likhne ka important rule hai ki aap jab bhi kahani likhein, to ek quiet yani shanti wali jagah par likhein. Shanti wali jagah par aap achhi tarah se likh sakte hain. Zyada tar writers shanti wali jagah par jaakar hi kahani likhte hain.

6. Samay ka Sahi Use Karein

Kahani likhne ka ek rule ye bhi hai ki aapko samay ka sahi use karna chahiye. Kahani likhne se pehle decide kar lein ki aap ek samay mein kitne words likh sakte hain. Pehle din thoda mushkil hoga, lekin dheere dheere aap better ho jayenge.

7. Kahani Ki Bhasha Simple aur Easy Ho

Kahani likhne ka ek rule ye bhi hai ki aapki kahani ki bhasha simple aur easy ho. Log simple words mein likhi kahaniyan padhna zyada pasand karte hain. To, agar aap bhi kahani likhna chahte hain, to upar diye gaye sabhi rules ka follow karna zaroori hai.

Kahani Likhne Ki Shuruaat Kaise Karein?

Kahani likhne ki shuruaat karne ke liye aapko simple words ka use karna chahiye. Aur upar diye gaye sabhi rules ka follow karna chahiye. Tabhi aap achhi tarah se kahani likh payenge.

Kahani Kitne Types Ke Hote Hain?

Kya aap bhi kahani likhna chahte hain? Agar haan, to aapko kahani kitne types ke hote hain ye jaan lena chahiye. Kahani kai types ki hoti hain jaise fairy tales, horror, mystery, fantasy, comedy, etc.

Aaj Aapne Kya Seekha?

Mujhe ummed hai ki aapko hamara aaj ka ye post pasand aaya hoga. Aaj ke article mein maine aapko kahani likhne ke sabhi rules ke baare mein bataya hai. Agar aapko is post se related koi bhi sawaal ho, to aap comment karke pooch sakte hain.

Close